Wi-fi ki speed badhane ke top 5 tricks hindi Kya aap ek intetnet user hai or Wi-fi ki slow speed se pareshan hai to aaj aap janenge Wi-fi k...
Wi-fi ki speed badhane ke top 5 tricks hindi
Kya aap ek intetnet user hai or Wi-fi ki slow speed se pareshan hai to aaj aap janenge Wi-fi ki speed badhane ke top 5 tricks hindi, yaha batayi gayi sabhi tricks ko try karke aap apane Wi-fi ki speed ko increase kar sakte hai,
Internet aane se hamari duniya ek dam se badal gayi hai, puri duniya me internet aane se sabhi ko kaafi help mili hai, internet ne ham sab ko digital bana diya hai, lekin is bich mai hamari internet ki slow speed hamko bahut pareshan karti hai, agar ham Wi-fi ki speed ki baat kare to wo kai baar bahut hi slow ho jaati hai to hamko kam karne me pareshani aati hai isliye maine yaha bataya hai Wi-fi ki speed badhane ke top 5 tricks hindi . post ko pura jarur padhe.
Wi-fi ki speed kaise badhaye ?
Kai baar esa hota hai ki ham apne ghar mai WiFi router lagate hai wo thik se kaam nahi karta hai or hamko uski wajah se sahi speed nahi mil paati hai or ham pareshan ho jaate hai, yeh ek bahut hi jatil or muskil problem hai jo aaj kal sabhi WiFi users ko pareshan karti hai, lekin ham aapko aaj ke is article mai batayenge Wi-fi ki speed badhane ke top 5 tricks hindi, jisase aapke WiFi ki speed kaafi had tak increase ho jayegi.
1. Router ko sahi jagah par set kare.
Wi-fi ki speed ko vadhane ke liye router ko sahi jagah par set karna bahut jaruri hai, router ke right placement se Wi-fi ki speed thik se milti hai, wifi router signal directional par kaam karta hai, isliye agar aap apne wifi router ko ghar ke bich me rakhe to jyada thik rahega.
Router ko apne eye lavel ke barabar ya uske upar set karne ka try kare. Isase wifi ke signal ghar ke har ek kone me best singnal or speed send karega.
2.Repeater ka use kare
Wi-fi ki Rang ko repeater ke jariye bhi badhaya jaa sakta hai, repeater aapkr router se signal leta hai or uski rang ko bada karke send karta hai, WPS ke jariye bahut hi aasani se repeater ke sath connection ban sakta hai,
WPS ko enable karke repeater ko WPS button press karna hota hai, uske baad se repeater automatic connect ho jayega.
3.Guest Network Set kare
Esa bahut baar hotavhai ki ghar mai kaafi guest aate hai or wifi ka password puchane lagte hai, or uske baad aapke internet ki speed slow ho jaati hai, ese mai aap apne router mai ek guest network ko set kar sakte hai,
Router ke admin setting par aapko wireless tab milega, waha par aapko gyest network on karne ka option show hoga.
Is guest network ko aap koi bhi name de sakte hai or password set kar sakte hai ab jab bhi koi guest aapke wifi ka password puchata hai tab aapko guest network ka password dena hai,
Isme aap router se connect hone wale all device ki limit bhi set kar sakte hai, or agar koi device jyada internet data use karta hai to usko remove ya block kar sakte hai,
4.USB port check kare.
Apne WiFi router mai USB port ko check kare. Agar usme USB port mil jaata hau to aapka router WiFi signal broadcast karne ke alawa bhi bahut saare kaam kar sakta hai, isme aap external hard drive or printer bhi connect kar sakte hai,
5.Password change kare.
Apne WiFi ka password a ko time to time change karte rehna hoga. Esa bahut baar hota hai ki aap bahut long time tak ek hi password use karte hai to aapke friends ya padosi iska fayada uatha kar aapke wifi ko use kar sakte hai, or iski wajah se aapke WiFi ki speed slow ho jaati hai, isliye mai suggest karunga ki thode thode time mai apne wifi router ka password change karte rahe.
Last words
Friends maine aapko is post mai Wi-fi ki speed badhane ke top 5 tricks hindi mai bataye hai, agar WiFi speed se related koi or sawal hai to comment kare, Or jankari achhi hai to share bhi kare, Thank you.
COMMENTS