Dosto yaha par kuchh 30 Amazing Tricky Questions and Answers hindi diye gaye hai jisko padh kar aapko maja aane wala hai, or thode cunfuse...
Dosto yaha par kuchh 30 Amazing Tricky Questions and Answers hindi diye gaye hai jisko padh kar aapko maja aane wala hai, or thode cunfuse ho jayenge, lekin aaj kosis karte hai ki aapka common sense kitana powerfull hai, to let’s start tricky question Answer game...
30 Amazing Tricky Questions and Answers hindi.
Dosto yaha par mane kuchh ese sawal aapko bataye hai jo ki aapko bada maja dene wale hai or isko padh kar aapko bada hi maja aane wala hai, yeh sabhi sawal ke jawab kuch is tarah diye hai jis tarah ek chhota bahha deta hai or hamako hasi aati ha, mai yeh to pakka kahunga ki agar aapne is sabhi sawal jawab ko padha liya to pakka aapko maja aayega : 30 Amazing Tricky Questions and Answers hindi
Question 1 – tipoo sultan kis yudhdh me sahid huye the ?
Answer – aakhari ydhdh me sahid huye the.
Question 2 – ek dwar ko 10 aadami 2 ghante me bana lete hai to 5 aadami kitane time me yeh diwar banayenge ?
Answer – pagal ho kya ! diwar to pehle hi 10 aadami bana chuke hai.
Question 3 – agar gupta ji ke garden me sharma ji ki murgi ne anda diya to anda kiska huva ?
Answer – are yaar anda na to sharmaji ka or naa to guptaji ka hoga, anda to sirf murgi ka h rahega.
Question 4 –kuchh month me 31 din hote hai, kuchh me 30 din hote hai to ese kitane month hai jisme 28 din bhi hote hai ?
Answer – aap soch rahe hai ki February ! . . . . . . . . . . . . . . . . . . . .nahi , lekin har month me 28 din to hote hi hai.
Question 5 – yadi babita ke father ki 5 betiya hai jaise , sita, gita,prity,rita to fir last me ek beti ka name kya hoga ?
Answer – Babita (sabse pehle to wahi bataya tha maine, sawal chewck karo fir se ek baar ) 😂😂
Question 6 –esi konsi chij hai jo upar ki tarf or niche ki tarf bhi jaati hai, fir bhi ek hi samne rehti hai,
Answer – are yaar wo hai sidhi (stairs )
Question 7 –esi konsi chij hai jiske pass head bhi hai or tail bhi hai lekin body nahi hai ?
Answer – sikka ( math se pehle tos hota hai wahi wala sikka,)
Question 8 – konsi chij hai jo hamesha badhati hi jaati hai ka bhi ghatati hi nahi hai ?
Answer – aapki umar / age
Question 9 – yadi aap ek red paththar ko pani me dalte hai to kya hoga ?
Answer – simple hai yaar yeh paththar gila ho jayega.
Question 10 – socho ki aap kisi jahaj me baithe hai or yeh jahaj dubne wala hai to aap kaise bachenge ?
Answer – bhai aapko sochana bandh kar dena hai aap bach jayenge.
Question 11 – aap kitani baar 100 me se 10 ghata sakte hai yani ki kam kar sakte hai ?
Answer – sirf ek baar hi kam kar sakte hai. Kyuki fir aapke pas 90 bachate hai aapko to 100 me se khatana hai na !
Question 12 – english me one se lekar hundred tak kitani baar A aata hai ?
Answer – ek baar bhi nahi ( yakin nahi to one two three four....... hundred tak try karke dekh lo.. )
Question 13 – ek ladki ek football par laat marti hai or ball 10 feet dur jaakar ladki ke paas aati hai kaise ?
Answer – gravity ke karan ( usne upar ki taraf ball ko laat mari thi)
Question 14 – ek 10 feet chodi sadak par do truck wale samne samne aa rahe hai to kaise crose karenge ?
Question 15 – ek vyakti ke kitane birthday hote hai ?
Answer – ek vyakti ka ek hi birthday hota hai.
Question 16 – Ek aadami ko 10 KM dur jaana hai lekin wo din bhar soya rehta hai to kaise chalega ?
Answer – Raat ko chalega : din me so jayega
Question 17 – ek murge ne ped par anda diya to kya wo niche girega ?
Answer – murga kabhi anda nahi de sakta hai,
Question 18 – Yadi aap koi race mai dod rahe hai or aapne dusare number wale player ko pichhe chhod diya to aap kitane number par hone ?
Answer – Dusare number par (Aap soch rahe hai ki pehle number par aayega lekin bhai aapne dusare number wale ko pichhe chhoda hai abhi to pehle number wala aapse aage hi hai na)
Question 19 –Aapne apni ek book mai pen se ek line banaya ab is line ko touch kiye bina isko chhota kaise karenge ?
Answer – Uske paas mai pehle jo line anaya tha uske hisab se bada line bana do pehle wali line chhoti ho jayegi na ….
Question 20 – Yadi mai har 30 minutes ke baad ek apple khata hu to 90 minutes mai kitane apple khaye honge ?
Answer – 2 (Kyoki har 30 minutes ke baad khata hu to 30 minutes ka bich mai gape hoga na bhai)
Question 21 –Kya aakash/sky nila hai ?
Answer – Nahi (yeh to environment ke karan esa dikhata hai)
Question 22 –Ham pani ko kyu pite hai ?
Answer –kyu ki ham pani ko chaba nahi sakte or khaa bhi nahi sakte isliye pi rahe hai
Question 23 – 1 +1 =3 / is tarah ka hisab kab hota hai ?
Answer – Jab aap galat hisab karenge tab….
Question 24 – Mai aapka name likh sakta hu ? / jawab mai hai dekh lo
Answer – “Aapka NAme”
Question 25 – Aapke ek hath mai ek kilo loha hai or dusare hath mai ek kilo water hai to dono mai se sabse jyada wajan kiska hoga ?
Answer –Dono barabar hai (size mai farak padega lekin wajan to dono ka same hi hai na bhai)
Question 26 – Agar aapke jeb mai total 5 chocolate hai or isme se aapne 2 chocolate nikal liye to kitane chocolate bachenge ?
Answer – 5/ five (kyuki aapne jeb mai se jo chocolate nikale hai wo bhi aapke pas hi to hai )
Question 27 – Dasarath Ram ke pitaji ka kya hai ?
Answer – Name hai sirf or kuchh nahi hai
Question 28 – A +T +8 =? /Iska jawab kya hoga ?
Answer – 88 Eighty Eight
Question 29 – Ram or shyam ke bich mai kya hai ?
Answer – “Or “(Ram Or Shyam)
Question 30 – how many letters are there in English ?
Answer – 7 (seven) / English: ek baar fir se ginti karo
So friends aaj maine aapko 30 Amazing Tricky Questions and Answers hindi mai bataya, I hope aapko is sawal jawab mai bahut maja aaya hoga or kuchh jankari bhi mili hongi. Agar aapko hamari jankari achhi lagi to aapke dosto ke sath share jarur kare or koi or bhi sawal hai to comment karke puchh sakte hai.
COMMENTS