Top 5 Video editing apps with android mobile hindi me -Hello dosto aaj mene ek best jankari pata ki hai jinaki help se aap youtube ya fir ...
Top 5 Video editing apps with android mobile hindi me-Hello dosto aaj mene ek best jankari pata ki hai jinaki help se aap youtube ya fir kisi bhi chij ke liye video bana sakte hai or wo bhi badi aasani se,
Ye android apps bilkul free hai, iske liye aapko ek bhi paise ka kharch nahi karna ha, is all apps ko aap play store se free me download kar sakte ho, agar aapko apane videos ka background ko change karna hai to aap ye bhi apne mobile se kar sakte hai, abhi tqk to ye feature only windows me hi available tha, lekin ab aap android mobile se bhi ye sab kar sakte hai, to chaliye dosto jante hai ki konse hai wo best apps,
Android se Video Editing karne ke Top 5 Apps
Apps batane se pehle aapko ek baat bata du ki aapko ye apps ke all feature ko use karne ke liye aapke mobile me Ram & processer achha hona chahiye, tabhi aap in apps ko full version me use kar sakte ho,
1. Viva Video Pro
Friends viva video sabse jyada use kiye jane vala android app hai, isme aap koi bhi tarah ka video edit kar sakte hai, isme aapko 50+ effects mil jayenge jinhe aap videos me apply kar sakte hai, agar koi bhi video ki shandar starting karna chahata hai to viva video me iske liye best feature diya gaya hai, jiska name hai VIDEOS THEMES , aap videos me themes ko set kar sakte ho, or video ko creative bana sakte ho, iske pro version me aap thode paise ko pay karke iska watermark remove kar sakte ho,
2. Power Director
Is app ko khas kar YouTube ke liye design kiya gaya hai, agar aap ek youtuber hai to fir ab aapko pc ki koi jarurat nahi hai, aap android phone ko hi pc bana sakte hai, Power Directer e aap Kai layer ke video bana sakte hai, aap video ke upar video chala sakte hai,dusare video me apani voice add kar sakte hai, Video me FX laga sakte hai, or Text add kar sakte hai, isme aapko 20+ FX or TEXT EFFECTS milate hai or aap LIBRARY daily new new EFFECTS bhi DOWNLOAD kar sakte hai,
3. Filmora Go
Friends Filmlora Go se aap party videos ko achhi tarike se bana sakte hai, Filmora aapko 20 se jyasa Thems Provide karta hai, agar Video ko Dub karna ho to iska bhi option Filmora me available hai, sath hi isme aap Text, FX, MUSIC, kuchh bhi video me set kar sakte hai, isme aapko all types ke features dekhane ko mil jayenge, bas aapke android mobile ki Ram ka achha hona chahiye,
4. KineMaster
Or Video Editings apps ki tarah Kinemaster bhi kam karta hai, Kinemaster ek akela esa Software hai jisakai help se ham chutakiyo me Videos ke background change kar sakte hai, or apne favorite picture ya videos ko set kar sakte hai, lekin ye background change karne ka feature sabhi mobile ke liye working nahi hai, iske liye aapke mobile ka camera & Ram achhi honi chahiye, agar aapka phone normal hai to aap kine master ke basic features ka use kar sakte ho.
5. Adobe Premier Clip
Adobe Premier Clip se ham normal video editing bade hi aaram se kar sakte hai, kyuki isme sab kuchh bahut hi easy hai, aapko kuchh bhi sikhne ki jarurat nahi padegi, bas Adobe premiar clip ko open kariye or video banane lagiye, isme aap video me filters add kar sakte hai, text effects add kar sakte hai, or images ko jod kar ek video bana sakte hai,
Dosto aaj ke is post me maine aapko bataya ki android phone me vudeo editing ke kon se 5 best apps hai, i hope aapke meri post pasand aayi hogi, ab ham jald hi ek new post ke sath milenge, thanks for reading...
COMMENTS