Hello friends
Aaj ke is post me main aapko top 10 android phone ke tricks ke bare me bataunga jo aap nahi jante honge. Isliye hi me ne is post ko likha hai jisse aap feature ko ache se jan sako or apne android fon ko achhi tarah se use kar sako. Friends me aksar yahi sochata hu ki jab bhi koi visitors meri website par aaye to wo yaha se kuchh naya jankar hi wapis jaye
Aaj ke is post me main aapko top 10 android phone ke tricks ke bare me bataunga jo aap nahi jante honge. Isliye hi me ne is post ko likha hai jisse aap feature ko ache se jan sako or apne android fon ko achhi tarah se use kar sako. Friends me aksar yahi sochata hu ki jab bhi koi visitors meri website par aaye to wo yaha se kuchh naya jankar hi wapis jaye
Friends aaj hamare android phones ne itani popularity paar ka li hai ki agar ham android phones ko ek mini computer bhi kahe to bhi galat nahi hoga, kyuki android system itane kam time me bahut jyada famous and develope ho gaya hai ki ham sab iska soch bhi nahi sakte hai, friends aajka mera yeh article bhi kuchh esa hi hai, jisse aap apne android phone ko sahi tarah se samaj payenge. To friends chalo me aapko android ki wo top 15 tricks bata hi deta hu,
1. Apne Android mobile ki battery life ko badhaye !
Friends android mobile ki battry jaldi khatam hone ki problem to har android users ko hoti hai, or is problem se chhutakara pane ke liye kai users ne apne sathe powe bank rakhana start kar diya hai, lekin aaj ke is time me har android users ke pas ek achhi power bank hoti nahi hai . agar aapke pas bhi power bank nahi hai to aap apne play store me se "battery doctor" name ka app install kar lijiye,
Friends kabhi kabhi hamare phones ke kuchh apps automatic run hone lagte hai aur hamare phones ki battery ko bahut jald khatam karne lagata hai, is time battery doctor /power saver app hamare phones me automatic run ho rahe apps ko rokata hai, or hamare phone ki battery life ko badhati hai,
2. Android mobile me storage space ko kese increase kare ?
Friends agar aapka mobile baar baar memory full ka warning deta hai ya fir aapke mobile me storage capacity low hai or jab aap usme or bhi jyada files ko save karte hai to uske karan space full ho gaya hai to aap jarur soch rahe honge ki kuchh delete bhi na ho or space free ho sake, friends ye trick ko use karke aap space ko free kar sakte hai, bas aapko mere diye gaye steps ko follow karna hai,
(1). Sabse pehle apne mobile me file manager ko open karo.
(2). Ab memory card me Android ka folder search kare, or usko delete kar dijiye,
Friends ! Dhyan rahe ki aapko only android ka folder hi delete karnavhai or koi nahi,
3. Android phone hang hone par kya kare ?
Friends agar aapka android mobile baar baar bahut jyada hang karta hai to aap isko thik kar sakte hai,
Dear frirends kabhi kabhi aap apne mobile me bahut sare android apps ko use karte ho tab aapka mobile hang ho jata hai isko rokane ke liye aapko all apps ko close karna hai or task manager me clear Ram ka option par click karke ram ko clear kar dijiye, or jab aap ram ko clear kardete ho tab aapka mobile hang hona bandh ho jayega or smoothly chalega.
4. Android mobile ko TV ka Remote banaye .
Friends hamare me se bahut kam hi log jante hai ki ham apne mobile ko tv ka remote bhi bana sakte hai, lekin uske liye hame hamare Android phones me Android tv remote control name ka app download karna padega, lekin ye system only selected Brander tv me hi available hai,5. Android phones me secret files creat kare.
Friends ham aksar hamare android phone me kuchh esi file save karte jo ham secret hi rakhana chahate hai, taki koi bhi aapki ye secret file ko dekh na sake, iske liye aapko google ke playstore me bahut se apps mil jayenge jisase aap apani secret file ko hide kar sake, par friends aaj mai aapko ek best trick ke bareme batane vala hu jisase aap apane Android mobile me koi bhi android apps ko install kiye bina hi files ko hide kar sakte hai,Agar aap apne phone ki koi bhi file ko hide karna chahate hai aapko us file rename karna padega jese ek file ka name ppp hai to aapko us file ko rename karke ".ppp" karna hai, or save karna hai, jese hi aap save karte ho to aapka wo folder/file hide ho jayega, or jab aapko us file ko dekhana ho to aapko file manager me "show hiden file" ka option on karna hai,is option ko on karne se aapne jo file ko hide kiya hai wo show hogi.
6. Android mobile ki screen ko record karke video banaye
Friends is trick se aap apne mobile ki screen ka video record kar sakte hai . jaise ki agar aap koi game play karte ho or aap chahate hai ki uska koi video bana lena hai to ye ho sakta hai, iske liye aapko only play store me se du recorder app ko install karna hai lekin bahut se mobile medu recorder support nahi karta to unke liye ek or app hai jiski janakari ke liye yaha click kare... Friends bahut se users is tricls ka use karke video bana kar YouTube me dal dete hai or pese bhi kamate hai,7.Android phone me image ko compress kare.
Friends aapne bahut baar delha hoga ki jab ham apne mobile ke camere se koi photo click karte hai tab uski size 2-5mb ki hoti hai jo ki hamare mobile ka storage jaldi full kar deti hai, ye problem android mobile me normal hai lekin agar aapko apne photos ka size 300-400kb karna hai to to fir ye step follow kijiye,Sabse pehle aapko apana mobile camera open karna hai or setting open karke resolution ke option ko select karke usko kam karna hai, lekin aapko dhyan rakhana hai ki jyada kam na ho warna images ki quality kam ho sakti hai.
8.Android mobile ki Ram ko increase kare.
Friends aaj ke yug me internet par bahut sare achhe achhe game aa gaye hai lekin ye sab ko khelane ke luye hamare mobil ki ram jyada honi chajiye, is trick me mai aapko ek aisa tarika batane vala hu jisase aapke mobile ki ram badh jayegi,Sabse pehle apne playstore se RamExpander app install kariye or is app se aap apne phone ki Ram ko badhaiye or bade se bade size ke Games kheliye.
9. Android mobile me Recycle Bin use kare.
Friends recycle bin ko aapne jyadatar windows me dekha hoga lekin ab developer ne uska size kam kardiya hai taki android mobile me bhi uska use ho sake.Friends kabhi kabhi ham apne phone me se koi bhi important file ko galti se delete kar dete hai, or vo file fully delete ho jati hai or ham usko wapas nahi le sakte.lekin agar aapke fone me pehle se recycle bin installed hai to wo file delete ho kar recycle bin me save ho jayegi, or aap jarurat padne par fir se us file ka backup le sakte hai, aapko playstore par bahut sare recycle bin mil jayenge isneme koi best download kar lijiye,
10. Playstore ke all paid apps and game ko free me download kare.
Friends aapne bahut baar dekha hoga ki bahut sare apps playstore par hai lekin jo ham lena chahate hai wo paid hota hai , agar aapko ye sab paid app ko free me chahiye to ye aapko free me bhi mil sakta hai, iske liye aapko internet me se ek app download karna hoga jiska name hai " BlackmartApp" isko aapke fone me install karna hoga or iski help se aap koi bhi paid app ko ek dam free me download kar sakte hai,To dosto kesi lagi hamari jankari ? Comment karke bajana, agar koi sawal hai to wo bhi puchh sakte ho, ham aapke sawal ka jawab jald hi denge, Thank you.