8 Best PUBG Mobile Tips Tricks and Hacks Hindi me

8 Best PUBG Mobile Tips Tricks and Hacks Hindi me
Ham sab log jante hai ki PUBG mobile Game kitana jyada popular ho raha hai or is game ko popular hone me kuch hi time laga yahi sabse badi baat hai. maine Top Side effects of PUBG mobile game hindi stop playing PUBG ki jankari bhi share ki hai ek baar jarur padhe.

Agar aap apne smartphone me PUBG game khelate hai ya fir khelne ki soch rahe hai to yeh post ko pura read kare kyuki is article me maine 8 Best PUBG Mobile Tips Tricks and Hacks Hindi me bataya jai jiski help se aap PUBG game me jeet sakte hai, ya fir aapke winner hone ka chance badh sakta hai,

8 Best PUBG Mobile Tips Tricks and Hacks Hindi me

8 Best PUBG Mobile Tips Tricks and Hacks Hindi me

Aapne dekha hoga ki is game ko apne smartphone me khelne ke dauran aapko baut sari baato ka dhyan rakhana padta hai, sath hi ek dam active bhi rehna padta hai tab hi aap winner ban sakte hai,

To chalo kuch ese tips or tricks ke bare me jante hai jiski help se aap PUBG mobule game me ek dam end tak  tik kar winner ban sakte hai,
Agar aap PUBG game pehle se khelte hai to aapko kuch tricks and tips pehle se pata ho or kuch nahi pata hai wo sikhani hai,

1. Use Headphone

PUBG Mobile Game khelte time aapko Headphone ka uae karna hai, agar aap headphone use karte hai to aap apne dusman ke chalne ke aawaj or goli ki aawaj ko clear way se sun sakte hai, or sath hi agar aap original headphone ka use kar rahe hai to aap pata laga sakte hai ki aawaj konsi disha me se aa rahi hai, or fir aap apne aap ko dusman se bacha sakte hai, or sath me sahi action le sake hai or dusman ko aasani se mar sakte ha, isliye possible ho to PUBG Mobile Game khelte time headphone ka use jarur kare.

2. Vehicle safety

Agar aap PUBG Mobile Game bahut khelte hai to aapne dekha hoga ki kai baar dusman hamko koi bhi gaadi ya car se mar dete hai , or ham game se har jate hai,
Mai aapko ek aasan sa trick batane wala hu jiski help se aap bach sakte hai.
Jab bhi aap koi car yaa gaadi se takarane wale ho tab aapko kuch nahi karna hai, aapko bas let jana hai, yani ki jamin par so jana hai, or aap bach sakte hai.

3. Change the controls

Smartphone me game khelne ke dauran controls apne hisab se hona bahut hi jaruri hai, isliye aapko PUBG Mobile Game khelne se pehle game ke setting me jaa kar controls ko apne hisab se set kare taaki aap best tarike se PUBG Mobile Game khel sake.

PUBG Mobile Game me controls panel ko icon ko chhota ya bada kar sakte hai, or apne hisab se set kar sakte hai,

Kuchh use ka right hand jyada kam larta hai to kuch user ka left hand jyada kam karta hai, aapko jo bhi hand se game khelna pasand hai uske hisab se aap controls ko set kar sakte hai,

4. Lock The Door

PUBG Mobile Game me ek chhota sa tips hai jo aapke liye bahut hi useful ho sakta hai, wo yeh hai ki jab bhi aap koi ghar me ghuste hai tab aapko andar jane ke baad door ko lock karna hai, jisase or koi aayega to usko lagega ki andar koi nahi hai, or wo andar aayega or aap usko aasani se mar sakte hai,

5. Backpack

PUBG Mobile Game khelne ke dauran hamne kai sare saman milte hai, isme se bahut sare saman  bahut hi useful hote hai, lekin kuchh saman baut kam ke nahi hote hai,

Bahut se player yeh galti karte hai ki wo jyadatar sabhi type ke saman ko utha lete hai or aage badhate hai,
Aapko yeh galti nahi karni hai, sirf wo hi saman ko uthana hai jo aapke liye useful ho

Jab bhi aap koi saman ko uthate hai to us time yellow color ka background hota hai, iska matab hai ki aapke liye yeh useful hai,  isliye jab bhi koi saman ko uthaye tab yellow background dekh kar hi uthaye.

6. Get the right weapons

PUBG Mobile Game khelne ke time hame kai sare hathiyar milte hai lekin in hathiyar ka use sahi tarike se karne par hi aap samne wale dusman ko aasani se mar sakte hai,

Aapko sabse pehle hathiyar yani baduk ke bare me jankari honi chahiye
Dusman ke dur hone par konsa or pas hone par konsa banduk use karna hai in sab ke bare me aapko pata hona chahiye. Tab hi aap dusman ko mar sakte hai,

7. Use eye Icon

Best PUBG Mobile Tips Tricks me next tips hai eye icon ka use karna, PUBG Mobile Game me screen par eye icon diya hota hai, jiski help se ham aasani se apne charo or dekh sakte hai ki kon kon hamare pas me dusman hai ki nahi.

Is option ka baut sare users use hi nahi karte hai, jiske karan kai bar koi dusman hamko pichhe se attack karke mar dete hai, isliye is option ka jarur use kare or dusman se bache.

8. Only shoot when you’re in range

PUBG Mobile Game khelne ke time aapko shoot karne se pehle dhyan rakhana hai ki dusman aapke banduk ke rang mai hai ki nahi.

Agar aapka dusman aapke banduk se door hai to aap jitani bhi goli shoot karenge wo sab bekar jayegi, or alag se aapke dusman ko aapke bare me pata chal jayega, yeh tips game ke end me bahut useful hota hai .

Agar aap PUBG Mobile Game ke starting player hai to upar bataye gaye step ko follow kare or game ka sahi se maja le,

Dosto ham ummid karte hai ki aapko hamari jankari 8 Best PUBG Mobile Tips Tricks and Hacks Hindi me jarur pasand Aaye honge.

Agar aapko yeh article pasand aaya hai to share jarur kare taaki aapke dost bhi yeh sab tricks ad tips ko jan kar Best PUBG player ban sake.
Or last me yahi kahunga ki :

Winner Winner Chicken Dinner.


Post a Comment

Previous Post Next Post