Facebook app ko mobile me se uninstall kyu kare ? (Android or iOS User) Android or iOS (Iphone) me facebook jyada usefull nahi hai, iOS me f...
Facebook app ko mobile me se uninstall kyu kare ? (Android or iOS User)
Android or iOS (Iphone) me facebook jyada usefull nahi hai, iOS me facebook app ki sabase badi burai hai background me jyada battery ko khatam karta hai, android phone me facebook app ki sabse badi problem hai baar baar app ka crash ho jana, or without app permission ke start bhi ho jata hai,
Is sirdard jaise app se achha hai ki ham facebook ke mobile site ka use kare, facebook website ko homescreen par add karke aap sirf ek hi touch me facebook app ke jaisa hi yse kar sakte hai, android me aap google chrome se aap facebook notification bhi recive kar sakte hai, or aap without massenger ke msg ko send or recive bhi kar sakte ho.
Mobile website ko android mobile me kaise add kare ?
Android phones me aapne dekha hoga ki facebook app ka icone aapke menu me hota hai, ab aapk us app ke icone pe kuchh der tak press karke rakhe,, aapko uninstall ma option show hoga, app icone ko uninstall ke option pe drag karke chhod de, is tarah aapka facebook app apke mobile me se delete or uninstall ho jayega.
Alag alag mobile ke Android versions me alag alag tarike se app ko uninstall kar sakte hai, ye bhi ho sakta hai ki aapke mobile me koi or tricks ho uninstall karne ke, isliye aap android phone ke setting me jaye , fir app pe click kare, fir facebook app pe jaakar click kare,, aapko uninstall karne ka option dikh jayega, uninstall par click karte hi aap ka facebook app mobile me se delete ho jayega,
Agar upar dikhaye gaye tarike se aap Facebook app ko uninstall nahi kar paa rahe hai ya fir aapke mobile me Facebook ke uninstall ka option nahi hai to aapke mobile me facebook app ko company ne install karke diya hai, or aapko is position me aapko uninstall ke jagah par disable ka option show hoga , or aapko is app ko facebook app ko disable karna hai, iske liye aap disable option par click kare,
Ab aap apane mobile ka best browser open kare, mai aapko google chrome ya moxila Firefox ke liye suggests karunga, ye trick aapke or bhi browser me bhi work karta hai, lekin settings thode bahut alag honge,
Bahut se browser Google chrome ki tarah pushe notification support nahi karta, ab aap apne mobile ke browser me www.facebook.com ko open kare, fir aapke facebook account me login kare, jab aap is website ko first time open karonge to aapke browser me facebook ke dwara notification send karne ka option dikhega, usme aapko allow par click karna hai, ye feature abhi to sirf selected browser me hi work karta hai,
Agar aapko allow option show nahi hota to chrome ke menu me jaye fir
"Setting>site setting>notification> site setting pe click karna hai,
Aapko m.facebook.com ka option show hoga usme click kare, fir notification ka option show hoga usme aapko allow karke save karna hai, allow par click karte hi aapko Facebook ke notification milane Start ho jayenge,
"Setting>site setting>notification> site setting pe click karna hai,
Aapko m.facebook.com ka option show hoga usme click kare, fir notification ka option show hoga usme aapko allow karke save karna hai, allow par click karte hi aapko Facebook ke notification milane Start ho jayenge,
Facebook app ko home screen par set karne ke liye , chrome ke menu option me jaye fir "Add to home screen" par click kare, aapke android mobile ke home screen par facebook ka icone set ho jayega, jis par click kanre se aap direct facebook site par chale jayenge,
Agar aap bad me Facebook notification nahi pana chahate hai to chrome me menu button pe click kare fir : setting>>advance>>site settings>>notification pe click karne par aapko m.facebook .com ke notification ke permission ko delete karna hai, agar aap chahate hai ki aapki facebook site or fast open ho to iske liye aapko apane browser me mbasic.facebook.com open karna hai,
Iphone me mobile site kaise add kare ?
Iphone me facebook app ko uninstall karne ke liye Facebook app par press kare, fir app ko X pe drag karke chhod de, aapki file uninstall ho jayegi,
Ab apne iphone mobile me safari web browser open kare, fir Facebook.com ko open kare, or login kare, screen ke niche share ka option hota hai, is par click karke, "Add to home screen" ka option show hoga uspe click kare, Facebook aapke iphone ke home screen par aa jayga, ab facebook ke icone par click karte hi aap direct Facebook open kar sakte ho, jab ki aapke mobile me facebook ka app installed bhi nahi hai, ab Facebook aapke mobile me background me run nahi karega, or aapke mobile ki battery or internet data save hoga,
Waise ek baat bata du aapko ki iphone me notification ka feature nahi hai, agar aapko facebook ki notification chahiye to facebook ke email ko enable karna padega, or facebook ka notification email se aapke pas aate rahe,
Las words
Ye trick to bahut purani hai old hai lekin bahut useful hai, mobile site bhi ab to facebook app ki tarah hi dikhta hai, or mordent web browser me facebook fast open hota hai, pushe notification hamara kam or bhi easy kar deta hai, aap is trick ko Twitter jaisi popular site par bhi use kar sakte ho, friends agar aapko meri jankari achhi lagi to apne friends ke share ek bar share kare, or unko bhi ye jankari do,thank you
really vey nice information , kya aur koi tarika hai jisse ham mobile me facebook ko use bhi kar sake aur koi nuksan bhi na ho
ReplyDeleteha agar aao lite app use karenge to jyada nuksan nahi hoga
Delete