Duniya ke top 5 gaming smartphone ke bare me jankari hindi me - Hello dosto aapka swagat hai VIP GURUJI blog par, dosto aaj mai aapko Worlds...
Duniya ke top 5 gaming smartphone ke bare me jankari hindi me- Hello dosto aapka swagat hai VIP GURUJI blog par, dosto aaj mai aapko Worlds top 5 gaming smartphone ke bare me jankari hindi me. Batanewala hu or aapka gyan badhane wala hu to chalo dekhate hai konse hai wo smartphones jo game khelne me bahut popular hai.
Bazar me kafi saare smartphone hai, or aaj ke time me har koi apane pas ek best smartphone rakhana chahata hai, ham mobile select karne se pehle us mobile ke baare me sab kuchh jankari lena chahate hai, kai log apane smartphone ko ek best camera ke liye rakhate hai, kuchh log ek best processor ke liye ek achha mobile rakhate hai to kai log ek jyada chalane wali battery ke liye ek badhiya sa mobile kharidate hai,
Duniya ke top Best gaming smatphone
Aaj kal Fortnite, PUBG or Asphalt 9 : Legends jaise games kafi popular ho rahe hai, jisko khelane ka shandar maja kuchh khas phone me hi aata hai, ek gaming smartphone aapke game khelane ke maje ko or bhi achhe bana deta hai or achha maja deta hai, jo mobiles sirf game khelne ke liye hi bana hai wo mobile aapke game khelane ke time hang nahi karega or slow bhi nahi chalega.
Yaha par mai kuchh smartphone ke bare me batane wala hu jo ki game khelane me bahut hi best hai or isme aap koi bhi mobile ki games ko aasani se khel sakte hai.
1.Honor Play
Honor Play 19,999 RS ki price wala phone hai, Honor Play ek gaming smartphone hai jo flagship hardware ke sath aata hai, phone HI cheapset, kirin 970 ke sath aata hai, is phone ki battery bahut hi achhi hai jo ki aapke game khelate time bahut long time chalegi, is smartphone me turbo CPU milta hai jo aapko ek dam smooth experiance deta hai. Honor Play jald hi ek new update layega jisme 4D game support karega.
2. Asus ROG Phone
Asus ROG Phone me snapdragon 845 HOC , 8GB RAM, or 256 GB storage ke sath aata hai, Asus ROG Phone me 90 HZ ki refresh rate ke sath aata hai. Or isme Amoled display diya gay hai, is mobile me aap mouse and keybord bhi add kar sakte hai.
3.Xiaomi Black Shark
Xiaomi Black Shark me waise to jyada refresh rate wali screen nahi hai lekin Xiaomi ne look par dhyan diya hai, phone ek strong dhatu se banaya gaya hai. Smartphone 18:9 display ke sath aata hai, or snap dragon 845 soc par chalata hai,
4.LG G7+
LG ne india me g7 plus thinq smartphone launch kiya hai, smartphone ki main highlight yeh Artificial Intelligence feature jaise service ke sath aata hai, is smartphone me 6 GB RAM or 128GB storage bhi hai, jo ki koi bhi best game ko play karne ke liye kafi hai,
5.Oppo and Vivo
Oppo and Vivo ne bhi snapdragon 845 or 8GB RAM se control kiya jata hai or Oppo and Vivo ke smartphone aaj kal ke time ke hisab se bahut kam hi hang hote hai, or iska speed bhi achha hai, isliye yeh Oppo and Vivo ke mobile ek achhi games ko play kar sakte hai.
6.Google Pixel
Google Pixel Google ka apana pixel 2 or pixel 2 exel bhi line hardware or venila android os ke sath aata hai. Is phone me stock os hai jiski help se isko koi bhi mobile ke sath chalaya jaa sakta hai. Yeh dono smartphone 4GB RAM ke sath aata hai. Or snapdragon 835 ke sath join hai, yeh smartphone aapko high graphic wale games bhi khelane me help karega. Jisase aapko maja bhi jyada aayega.
Dosto yaha par maine duniya ke top gaming smartphone ke bare me jankari di, agar koi sawal hai to comment kare or jankari share bhi kare.Thank you.
COMMENTS